sud-o-ziyan ka ishq mein rakhte hisab hain
sūd-o-ziyāñ kā 'ishq meñ rakhte hisāb haiñ
kitne ġharīb dil ke ye ahl-e-nisāb haiñ
kāñToñ baġhair kab kahīñ milte gulāb haiñ
ġham ke binā masarrateñ samjho sarāb haiñ
ham to duhā.ī deñge jihālat kī hashr meñ
vo kyā javāb deñge jo ahl-e-kitāb haiñ
ḳhalvat meñ un kī harkateñ bas ham se pochhiye
duniyā kī jo nigāh meñ ‘izzat-ma.āb haiñ
ik shaḳhs hī se sirf haiñ mansūb sab ke sab
aa.e jo zindagī meñ mirī inqalāb haiñ
ik dil meñ gar milī na jagah ai 'sadā' to kyā
tujh se bhī baḌh ke duniyā meñ ḳhāna-ḳharāb haiñ
sud-o-ziyan ka 'ishq mein rakhte hisab hain
kitne gharib dil ke ye ahl-e-nisab hain
kanTon baghair kab kahin milte gulab hain
gham ke bina masarraten samjho sarab hain
hum to duhai denge jihaalat ki hashr mein
wo kya jawab denge jo ahl-e-kitab hain
KHalwat mein un ki harkaten bas hum se pochhiye
duniya ki jo nigah mein ‘izzat-maab hain
ek shaKHs hi se sirf hain mansub sab ke sab
aae jo zindagi mein meri inqalab hain
ek dil mein gar mili na jagah ai 'sada' to kya
tujh se bhi baDh ke duniya mein KHana-KHarab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.