sukha ambar sukhi dharti
sūkhā ambar sūkhī dhartī
banjar ho ga.ī saarī dhartī
tīkhī dhuup kī kirneñ pī kar
kyā uglegī pyāsī dhartī
phir pardes meñ yaad aa.ī hai
hañstī kheltī rotī dhartī
mujh ko jannat se baḌh kar hai
apnā āñgan apnī dhartī
tang diloñ ne baañT ke rakh dī
terī dhartī merī dhartī
phir gehūñ ke zevar pahne
jhuum rahī hai saarī dhartī
sukha ambar sukhi dharti
banjar ho gai sari dharti
tikhi dhup ki kirnen pi kar
kya uglegi pyasi dharti
phir pardes mein yaad aai hai
hansti khelti roti dharti
mujh ko jannat se baDh kar hai
apna aangan apni dharti
tang dilon ne banT ke rakh di
teri dharti meri dharti
phir gehun ke zewar pahne
jhum rahi hai sari dharti
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 60)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.