Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraKH kashti munh-zor dariya

Muzaffar Hanfi

suraKH kashti munh-zor dariya

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    sūrāḳh kashtī muñh-zor dariyā

    taslīm chāhe jis or dariyā

    ye tīsrā kaun apne milan meñ

    sangam ke nīche ik chor dariyā

    apnī taraf se ham bhī gurezāñ

    bosīda sāhil ghanghor dariyā

    jangal meñ mangal mangal meñ ketū

    ik mor sho.ala ik mor dariyā

    jabbār maujeñ qahhār maujeñ

    muñh-zor dariyā pur-shor dariyā

    yuuñ bhī 'muzaffar' dekhe ga.e haiñ

    kāñTe meñ to’ma lam-Dor dariyā

    suraKH kashti munh-zor dariya

    taslim chahe jis or dariya

    ye tisra kaun apne milan mein

    sangam ke niche ek chor dariya

    apni taraf se hum bhi gurezan

    bosida sahil ghanghor dariya

    jangal mein mangal mangal mein ketu

    ek mor shoala ek mor dariya

    jabbar maujen qahhaar maujen

    munh-zor dariya pur-shor dariya

    yun bhi 'muzaffar' dekhe gae hain

    kanTe mein to’ma lam-Dor dariya

    Source:

    Tahreek Jild 27 Shumara 1 April 1979-Svk (Pg. 14)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now