suraj chanda jaisi joDi hum donon
sūraj chandā jaisī joḌī ham donoñ
din kā raaja raat kī raanī ham donoñ
jagmag jagmag duniyā kā mela jhūTā
sachchā sonā sachchī chāñdī ham donoñ
ik duuje se mil kar puure hote haiñ
aadhī aadhī ek kahānī ham donoñ
ghar-ghar dukh-sukh kā ik dīpak jale bujhe
har dīpak meñ tel aur baatī ham donoñ
duniyā kī ye maayā kankar patthar hai
aañsū shabnam hiirā motī ham donoñ
chāroñ or samandar baḌhtī chintā hai
lahar lahar lahrātī kashtī ham donoñ
parbat-parbat bādal-bādal kiran-kiran
ujle par vaale do panchhī ham donoñ
maiñ dahlīz kā dīpak huuñ aa tez havā
raat guzāreñ apnī apnī ham donoñ
suraj chanda jaisi joDi hum donon
din ka raja raat ki rani hum donon
jagmag jagmag duniya ka mela jhuTa
sachcha sona sachchi chandi hum donon
ek duje se mil kar pure hote hain
aadhi aadhi ek kahani hum donon
ghar-ghar dukh-sukh ka ek dipak jale bujhe
har dipak mein tel aur baati hum donon
duniya ki ye maya kankar patthar hai
aansu shabnam hira moti hum donon
chaaron or samandar baDhti chinta hai
lahar lahar lahraati kashti hum donon
parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran
ujle par wale do panchhi hum donon
main dahliz ka dipak hun aa tez hawa
raat guzaren apni apni hum donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.