Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj ki kiran dekh ke bezar hue ho

Shahzad Ahmad

suraj ki kiran dekh ke bezar hue ho

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    sūraj kiran dekh ke bezār hue ho

    shāyad ki abhī ḳhvāb se bedār hue ho

    manzil hai kahāñ tum ko dikhā.ī nahīñ degī

    tum apne liye aap dīvār hue ho

    ehsās daulat jo milegī to kahāñ se

    kuchh bhī na rahā paas to hoshiyār hue ho

    socho to hai maujūd na socho to nahīñ hai

    jis daam meñ tum log giraftār hue ho

    apne se taġhāful hai ki be-rāh-ravī hai

    kyā soch ke duniyā ke talabgār hue ho

    ye rishta-e-dil toḌ ke kyā tum ko milā hai

    TuuTe hue patte tarah ḳhvār hue ho

    pahle bhī kabhī nuur ehsās huā thā

    aaj is ġham se ḳhabar-dār hue ho

    majnūñ ho to hai ḳhaak uḌāne se tumheñ kaam

    yūsuf ho to rusvā sar-e-bāzār hue ho

    kal tak to in āñkhoñ meñ muravvat jhalak thī

    fitna ho to phir aaj bedār hue ho

    koī ufuq-e-dil pe numūdār to ho le

    tum kis ke qadam lene ko tayyār hue ho

    ye chhab ye jhamak aañkh se dekhī nahīñ jaatī

    tum uḌte hue vaqt raftār hue ho

    'shahzād' ta.assuf na karo be-asarī par

    tum dast-e-rasā kab the ki bekār hue ho

    suraj ki kiran dekh ke bezar hue ho

    shayad ki abhi KHwab se bedar hue ho

    manzil hai kahan tum ko dikhai nahin degi

    tum apne liye aap hi diwar hue ho

    ehsas ki daulat jo milegi to kahan se

    kuchh bhi na raha pas to hoshiyar hue ho

    socho to hai maujud na socho to nahin hai

    jis dam mein tum log giraftar hue ho

    apne se taghaful hai ki be-rah-rawi hai

    kya soch ke duniya ke talabgar hue ho

    ye rishta-e-dil toD ke kya tum ko mila hai

    TuTe hue patte ki tarah KHwar hue ho

    pahle bhi kabhi nur ka ehsas hua tha

    ya aaj hi is gham se KHabar-dar hue ho

    majnun ho to hai KHak uDane se tumhein kaam

    yusuf ho to ruswa sar-e-bazar hue ho

    kal tak to in aankhon mein murawwat ki jhalak thi

    fitna ho to phir aaj hi bedar hue ho

    koi ufuq-e-dil pe numudar to ho le

    tum kis ke qadam lene ko tayyar hue ho

    ye chhab ye jhamak aankh se dekhi nahin jati

    tum uDte hue waqt ki raftar hue ho

    'shahzad' tassuf na karo be-asari par

    tum dast-e-rasa kab the ki bekar hue ho

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 382)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now