Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj ko ehsas dilaya ja sakta hai

Rakesh Dilbar

suraj ko ehsas dilaya ja sakta hai

Rakesh Dilbar

MORE BYRakesh Dilbar

    sūraj ko ehsās dilāyā saktā hai

    jugnū se bhī kaam chalāyā saktā hai

    tum bas ik din un tabassum chakh kar dekho

    un hoñToñ se shahd banāyā saktā hai

    us ke hijr sālgirah hai aane vaalī

    ab vahshat jashn manāyā saktā hai

    dost sabhī apne jo muḳhālif ho jaa.eñ to

    dushman se bhī haath milāyā saktā hai

    us badan ḳhushbū thā to naam pe us ke

    sandal ik peḌ lagāyā saktā hai

    dil kahtā hai dekh ke un husn-e-mujassam

    un pe 'mīr' sher sunāyā saktā hai

    chāhat meñ aisā hotā rahtā hai aksar

    rūThā hai 'dilbar' to manāyā saktā hai

    suraj ko ehsas dilaya ja sakta hai

    jugnu se bhi kaam chalaya ja sakta hai

    tum bas ek din un ka tabassum chakh kar dekho

    un honTon se shahd banaya ja sakta hai

    us ke hijr ki salgirah hai aane wali

    ab wahshat ka jashn manaya ja sakta hai

    dost sabhi apne jo muKHalif ho jaen to

    dushman se bhi hath milaya ja sakta hai

    us ka badan KHushbu ka tha to nam pe us ke

    sandal ka ek peD lagaya ja sakta hai

    dil kahta hai dekh ke un ka husn-e-mujassam

    un pe 'mir' ka sher sunaya ja sakta hai

    chahat mein aisa hota rahta hai aksar

    ruTha hai 'dilbar' to manaya ja sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now