Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj se bhi aage ka jahan dekh raha hai

Ehsan Saqib

suraj se bhi aage ka jahan dekh raha hai

Ehsan Saqib

MORE BYEhsan Saqib

    sūraj se bhī aage jahāñ dekh rahā hai

    is daur insān kahāñ dekh rahā hai

    hālāt ne jis ke sabhī par kaaT diye haiñ

    vo aaj bhī manzil nishāñ dekh rahā hai

    ayyār bahut hai yahāñ taḳhrīb mojid

    vo barf ke jangal meñ dhuāñ dekh rahā hai

    ik roz pakaḌ legā vo qātil garebāñ

    jo vaqt raftār zabāñ dekh rahā hai

    sadiyoñ ke ta.alluq ye ehsās hai shāyad

    sahrā meñ haqīqat ko ayaañ dekh rahā hai

    is sar-phire mausam bharosa nahīñ 'sāqib'

    māhaul sab bār-e-garāñ dekh rahā hai

    suraj se bhi aage ka jahan dekh raha hai

    is daur ka insan kahan dekh raha hai

    haalat ne jis ke sabhi par kaT diye hain

    wo aaj bhi manzil ka nishan dekh raha hai

    ayyar bahut hai yahan taKHrib ka mojid

    wo barf ke jangal mein dhuan dekh raha hai

    ek roz pakaD lega wo qatil ka gareban

    jo waqt ki raftar zaban dekh raha hai

    sadiyon ke talluq ka ye ehsas hai shayad

    sahra mein haqiqat ko ayan dekh raha hai

    is sar-phire mausam ka bharosa nahin 'saqib'

    mahaul ka sab bar-e-garan dekh raha hai

    Source:

    Lambi Chup Ka Shor (Pg. 64)

    • Author: Ehsan Saqib
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now