surat-e-imtihan mein gum hai
sūrat-e-imtihān meñ gum hai
zindagī ik jahān meñ gum hai
kyā zamīñ par nahīñ utartā vo
kyā ḳhudā āsmān meñ gum hai
be-hisī ke 'ajīb tevar haiñ
zindagī ik makān meñ gum hai
aadmī daur-āfrīda hai
vus'at-e-imtihān meñ gum hai
rāsta pā gayā hai yā raahī
manziloñ ke nishān meñ gum hai
pesh-e-'ḳhātir' hai aa.ina lekin
aa.ina ḳhud gumān meñ gum hai
surat-e-imtihan mein gum hai
zindagi ek jahan mein gum hai
kya zamin par nahin utarta wo
kya KHuda aasman mein gum hai
be-hisi ke 'ajib tewar hain
zindagi ek makan mein gum hai
aadmi daur-afrida hai
wus'at-e-imtihan mein gum hai
rasta pa gaya hai ya rahi
manzilon ke nishan mein gum hai
pesh-e-'KHatir' hai aaina lekin
aaina KHud guman mein gum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.