surat ke to achchhe log
sūrat ke to achchhe log
lekin dil ke kaale log
un se apnÄ rishta kyÄ
vo Thahre haiñ ūñche log
dekhe haiñ sajda karte
apnÄ« anÄ ko ham ne log
aaj masÄ«hÄ ban baiThe
gūñge bahre andhe log
har ghar kī majbūrī haiñ
kuchh paune kuchh aadhe log
terÄ« baat ko mÄneñge
'paikar' dhīre dhīre log
surat ke to achchhe log
lekin dil ke kale log
un se apna rishta kya
wo Thahre hain unche log
dekhe hain sajda karte
apni ana ko hum ne log
aaj masiha ban baiThe
gunge bahre andhe log
har ghar ki majburi hain
kuchh paune kuchh aadhe log
teri baat ko manenge
'paikar' dhire dhire log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.