Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surat utar na jae kahin mahtab ki

Chander Wahid

surat utar na jae kahin mahtab ki

Chander Wahid

MORE BYChander Wahid

    sūrat utar na jaa.e kahīñ māhtāb

    kah do ki baat jhuuT hai un ke shabāb

    shām-e-visāl sej pe sharmā.e juuñ dulhan

    sharmā.ī yuuñ haiñ shāḳh pe kaliyāñ gulāb

    patthar uchhāl dījiye yuuñ dil jhiil meñ

    varna umiid rakhiye na mujh se javāb

    manzil qarīb aa.ī to bhaTkā diyā gayā

    in rahbaroñ ne zindagī merī ḳharāb

    hālāt ne bigāḌ 'vāhid' shakl yuuñ

    jaise ḳharāb jild ho achchhī kitāb

    surat utar na jae kahin mahtab ki

    kah do ki baat jhuT hai un ke shabab ki

    sham-e-visal sej pe sharmae jun dulhan

    sharmai yun hain shaKH pe kaliyan gulab ki

    patthar uchhaal dijiye yun dil ki jhil mein

    warna umid rakhiye na mujh se jawab ki

    manzil qarib aai to bhaTka diya gaya

    in rahbaron ne zindagi meri KHarab ki

    haalat ne bigaD di 'wahid' ki shakl yun

    jaise KHarab jild ho achchhi kitab ki

    Source:

    سمے کمہار ہے

    • Author: چندر واحد
      • Publisher: اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now