Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga

Kanupriya

syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga

Kanupriya

MORE BYKanupriya

    syaah shab udaas āñkhoñ meñ nuur hogā zarūr hogā

    use añdhere se dostī par ġhurūr hogā zarūr hogā

    ye marhala bhī hai is masāfat meñ terā rasta kahīñ nahīñ hai

    to bañd āñkhoñ se koī rasta zuhūr hogā zarūr hogā

    ye rabt TuuTā nahīñ hai āḳhir kahā-sunī se to baat kyā hai

    hameñ to lagtā hai zabt sab qusūr hogā zarūr hogā

    ye rahbarī hai ye rahzanī hai ye kaisī afvāheñ uḌ rahī haiñ

    ye ishq sīdhā ishq-e-kāmil huzūr hogā zarūr hogā

    yahī hai lā-hāsilī hamārī yahī faqat hāsilī rahegī

    jab ishq ko kah rahā hai futūr hogā zarūr hogā

    vo ik taḳhallus jo ek va.ade ke chalte ham ne chhupā.e rakkhā

    hamārī ġhazloñ se us charchā zarūr hogā zarūr hogā

    vo ik tasavvur hai jo mayassar hai vasl ho kar sarāpā mujh ko

    vo ik tasavvur jo jism hogā to duur hogā zarūr hogā

    syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga

    use andhere se dosti par ghurur hoga zarur hoga

    ye marhala bhi hai is masafat mein tera rasta kahin nahin hai

    to band aankhon se koi rasta zuhur hoga zarur hoga

    ye rabt TuTa nahin hai aaKHir kaha-suni se to baat kya hai

    hamein to lagta hai zabt ka sab qusur hoga zarur hoga

    ye rahbari hai ye rahzani hai ye kaisi afwahen uD rahi hain

    ye ishq sidha sa ishq-e-kaamil huzur hoga zarur hoga

    yahi hai la-hasili hamari yahi faqat hasili rahegi

    jab ishq ko hi tu kah raha hai futur hoga zarur hoga

    wo ek taKHallus jo ek wade ke chalte hum ne chhupae rakkha

    hamari ghazlon se us ka charcha zarur hoga zarur hoga

    wo ek tasawwur hai jo mayassar hai wasl ho kar sarapa mujh ko

    wo ek tasawwur jo jism hoga to dur hoga zarur hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now