Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tassub ka agar pauda yahan panpa nahin hota

Arshad Rasool Badayuni

tassub ka agar pauda yahan panpa nahin hota

Arshad Rasool Badayuni

MORE BYArshad Rasool Badayuni

    ta'assub agar paudā yahāñ panpā nahīñ hotā

    to itnā bhī lahū insān sastā nahīñ hotā

    lagī hai bhiiḌ apnoñ kabhī tanhā nahīñ hotā

    ġhamoñ ke saḳht mausam meñ koī apnā nahīñ hotā

    kahīñ ḳhargosh ban kar ḳhvāb sote na rah jaa.eñ

    safar meñ der tak ārām bhī achchhā nahīñ hotā

    agar toḌā gayā to ek ḳhanjar ban ke ubhregā

    tumhārī bhuul hai nāzuk kabhī shīsha nahīñ hotā

    agar laḌte jhagaḌte nahīñ ham billiyoñ jaise

    ye mauqa bandaroñ ke haath meñ aaya nahīñ hotā

    zarā der meñ mil jā.egī shohrat burā.ī ko

    magar 'arshad' yahāñ sachchā.ī charchā nahīñ hotā

    ta'assub ka agar pauda yahan panpa nahin hota

    to itna bhi lahu insan ka sasta nahin hota

    lagi hai bhiD apnon ki kabhi tanha nahin hota

    ghamon ke saKHt mausam mein koi apna nahin hota

    kahin KHargosh ban kar KHwab sote hi na rah jaen

    safar mein der tak aaram bhi achchha nahin hota

    agar toDa gaya to ek KHanjar ban ke ubhrega

    tumhaari bhul hai nazuk kabhi shisha nahin hota

    agar laDte jhagaDte hi nahin hum billiyon jaise

    ye mauqa bandaron ke hath mein aaya nahin hota

    zara si der mein mil jaegi shohrat burai ko

    magar 'arshad' yahan sachchai ka charcha nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now