tair-e-‘ishq ko shajar na mile
tā.ir-e-‘ishq ko shajar na mile
uḌnā chāhe to bāl-o-par na mile
ruk ke dekhe to kārvāñ haiñ hazār
chalnā chāhe to rahguzar na mile
ham-navā ham-zabāñ to milte haiñ
ham-nazar koī ham-safar na mile
haq-navā.ī kā shauq thā jin ko
un ke kāñdhoñ pe ham ko sar na mile
ashk āñkhoñ se ḳhuun ban ke bahe
ġham kisī ko bhī is qadar na mile
tair-e-‘ishq ko shajar na mile
uDna chahe to baal-o-par na mile
ruk ke dekhe to karwan hain hazar
chalna chahe to rahguzar na mile
ham-nawa ham-zaban to milte hain
ham-nazar koi ham-safar na mile
haq-nawai ka shauq tha jin ko
un ke kandhon pe hum ko sar na mile
ashk aankhon se KHun ban ke bahe
gham kisi ko bhi is qadar na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.