Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tair hai aae aae na aae zafil par

Sabir Chaudhri

tair hai aae aae na aae zafil par

Sabir Chaudhri

MORE BYSabir Chaudhri

    taa.ir hai aa.e aa.e na aa.e zafīl par

    āḳhir ko aa giregā badan fasīl par

    aisī bhī kyā ḳhatā thī jo sukh-chain le ga.ī

    maazī meñ jhāñktā huuñ isī ik dalīl par

    kamre phir fazā meñ hai mānūs mahak

    phir ḳhvāb koī utrā hai nīñdoñ jhiil par

    maiñ ḳhvāhishoñ umr se aage nikal gayā

    tasvīr ho gayā huuñ laTaknā hai kiil par

    qātil ke haq meñ qaazī gavāhī bhī de gayā

    ilzām hai faqat ye hasīn-o-jamīl par

    'sābir' jahāñ likhā thā safar umr bhar hai

    kuchh naqsh-e-pā bane the usī sang-e-mīl par

    tair hai aae aae na aae zafil par

    aaKHir ko aa girega badan ki fasil par

    aisi bhi kya KHata thi jo sukh-chain le gai

    mazi mein jhankta hun isi ek dalil par

    kamre ki phir faza mein hai manus si mahak

    phir KHwab koi utra hai nindon ki jhil par

    main KHwahishon ki umr se aage nikal gaya

    taswir ho gaya hun laTakna hai kil par

    qatil ke haq mein qazi gawahi bhi de gaya

    ilzam hai faqat ye hasin-o-jamil par

    'sabir' jahan likha tha safar umr bhar ka hai

    kuchh naqsh-e-pa bane the usi sang-e-mil par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now