taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun

Arman Najmi

taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

  tāj-e-zarrīñ na koī masnad-e-shāhī māñgūñ

  maiñ to bas apne hone gavāhī māñgūñ

  mujh ko suqrāt mansab nahīñ hāsil karnā

  kyā maiñ sach bol ke apnī tabāhī māñgūñ

  haar jā.ūñgā to miTTī ke qadam chūmūñgā

  girtī dīvār se kyā pusht-panāhī māñgūñ

  zeb detā hai mire tan pe faqīrī libās

  kisī darbār se kyā ḳhil.at-e-jāhī māñgūñ

  merī vahshat ko ye sahrā masāfat kam hai

  sair ke vāste kuchh aur fazā māñgūñ

  tīrgī meñ abhī itnā to nahīñ Duubā huuñ

  ki na.e din ke ḳhazāne se bhī syāhī māñgūñ

  taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun

  main to bas apne hi hone ki gawahi mangun

  mujh ko suqraat ka mansab nahin hasil karna

  kya main sach bol ke apni hi tabahi mangun

  haar jaunga to miTTi ke qadam chumunga

  girti diwar se kya pusht-panahi mangun

  zeb deta hai mere tan pe faqiri ka libas

  kisi darbar se kya KHilat-e-jahi mangun

  meri wahshat ko ye sahra ki masafat kam hai

  sair ke waste kuchh aur faza hi mangun

  tirgi mein abhi itna to nahin Duba hun

  ki nae din ke KHazane se bhi syahi mangun

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY