taKHir thi chaman mein faqat tere pair ki
tāḳhīr thī chaman meñ faqat tere pair kī
ḳhushbū ne sā.atoñ meñ zamānoñ kī sair kī
bhejā gayā hai jalte hue shahr meñ mujhe
aur hukm hai ki lā.ūñ ḳhabar koī ḳhair kī
qudrat suḳhan-sarā.ī pe kaisī ki ham ne to
ye chaah kar na kī kabhī chāhe baġhair kī
āñkhoñ meñ tab se gaḌ ga.e be-ḳhvābiyoñ ke tiir
jab se fasīl TuuT ga.ī shab-ba-ḳhair kī
kyoñ rang niilā paḌ gayā sun kar ye aap se
kyoñ zahr lag ga.ī mujhe tārīf ġhair kī
ik dāstān-e-talḳh ba-pairāya-e-latīf
ai sāhibān-e-sher ġhazal hai 'zubair' kī
taKHir thi chaman mein faqat tere pair ki
KHushbu ne saaton mein zamanon ki sair ki
bheja gaya hai jalte hue shahr mein mujhe
aur hukm hai ki laun KHabar koi KHair ki
qudrat suKHan-sarai pe kaisi ki hum ne to
ye chah kar na ki kabhi chahe baghair ki
aankhon mein tab se gaD gae be-KHwabiyon ke tir
jab se fasil TuT gai shab-ba-KHair ki
kyon rang nila paD gaya sun kar ye aap se
kyon zahr lag gai mujhe tarif ghair ki
ek dastan-e-talKH ba-pairaya-e-latif
ai sahiban-e-sher ghazal hai 'zubair' ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.