Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

takid hai ki dida-e-dil wa kare koi

Fani Badayuni

takid hai ki dida-e-dil wa kare koi

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    tākīd hai ki dīda-e-dil kare koī

    matlab ye hai ki duur se dekhā kare koī

    aate tere vāda-e-fardā e'tibār

    ghabrā ke mar na jaa.e to phir kyā kare koī

    vo jalva be-hijāb sahī zid kyā ilaaj

    jab dil meñ rah ke aañkh se parda kare koī

    kahte haiñ husn amānat hai dard-e-ishq

    ab kyā kisī ke ishq daavā kare koī

    ḳhālī hai bazm-e-zauq-talab ahl-e-hosh se

    itnā nahīñ ki terī tamannā kare koī

    vo dard de ki maut bhī jis davā na ho

    is dil ko maut de jise achchhā kare koī

    'fānī' duā-e-marg takrār kyā zarūr

    ġhāfil nahīñ ki un se taqāzā kare koī

    takid hai ki dida-e-dil wa kare koi

    matlab ye hai ki dur se dekha kare koi

    aate hi tere wada-e-farda ka e'tibar

    ghabra ke mar na jae to phir kya kare koi

    wo jalwa be-hijab sahi zid ka kya ilaj

    jab dil mein rah ke aankh se parda kare koi

    kahte hain husn hi ki amanat hai dard-e-ishq

    ab kya kisi ke ishq ka dawa kare koi

    KHali hai bazm-e-zauq-talab ahl-e-hosh se

    itna nahin ki teri tamanna kare koi

    wo dard de ki maut bhi jis ki dawa na ho

    is dil ko maut de jise achchha kare koi

    'fani' dua-e-marg ki takrar kya zarur

    ghafil nahin ki un se taqaza kare koi

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now