Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talluq tark karne se mohabbat kam nahin hoti

Khalid Abrar

talluq tark karne se mohabbat kam nahin hoti

Khalid Abrar

MORE BYKhalid Abrar

    ta.alluq tark karne se mohabbat kam nahīñ hotī

    bhaḌaktī hai ye ātish din-ba-din maddham nahīñ hotī

    nibhānā āshnā.ī kar ke mushkil to nahīñ lekin

    kisī se bhī mohabbat nā-gahāñ yak-dam nahīñ hotī

    tumhārī soch par haiñ munhasir rañgīniyāñ dil

    ye mahfil bevafā.ī se kabhī darham nahīñ hotī

    utar jaa.e jo puurā imtihān-o-āzmā.ish meñ

    vo chashm-e-dil kabhī phir āñsuoñ se nam nahīñ hotī

    zamāna chāhe jitne rang-o-ruḳh badle haqīqat meñ

    niDartā mard-e-maidāñ mom mariyam nahīñ hotī

    ajab dastūr hai abrār is duniyā-e-be-par

    shikasta-rañg pattoñ par fidā shabnam nahīñ hotī

    talluq tark karne se mohabbat kam nahin hoti

    bhaDakti hai ye aatish din-ba-din maddham nahin hoti

    nibhana aashnai kar ke mushkil to nahin lekin

    kisi se bhi mohabbat na-gahan yak-dam nahin hoti

    tumhaari soch par hain munhasir ranginiyan dil ki

    ye mahfil bewafai se kabhi darham nahin hoti

    utar jae jo pura imtihan-o-azmaish mein

    wo chashm-e-dil kabhi phir aansuon se nam nahin hoti

    zamana chahe jitne rang-o-ruKH badle haqiqat mein

    niDarta mard-e-maidan mom ki mariyam nahin hoti

    ajab dastur hai abrar is duniya-e-be-par ka

    shikasta-rang patton par fida shabnam nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now