Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamiz-e-pisar-e-zamin wa ibn-e-falak na karna

Aftab Iqbal Shamim

tamiz-e-pisar-e-zamin wa ibn-e-falak na karna

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    tāmīz-e-pisar-e-zamīn va ibn-e-falak na karnā

    tum aadmī ho to aadmī hatak na karnā

    ye jam.a-o-tafrīq zarb-o-taqsīm sadī hai

    aqīda Thahrā adad mantiq pe shak na karnā

    pas-e-ḳharābāt-e-band jaarī hai mai-gusārī

    sikhāyā jām-o-subū ko ham ne khanak na karnā

    chhalāve ban jaa.eñ aage kar yahī ġhazālāñ

    ta.āqub in mah-vashoñ tum duur tak na karnā

    ye ġham ke ma.anī tujhe lage hai sarāb-e-ma.anī

    akele sahnā use ġham-e-mushtarak na karnā

    tamiz-e-pisar-e-zamin wa ibn-e-falak na karna

    tum aadmi ho to aadmi ki hatak na karna

    ye jama-o-tafriq zarb-o-taqsim ki sadi hai

    aqida Thahra adad ki mantiq pe shak na karna

    pas-e-KHarabaat-e-band jari hai mai-gusari

    sikhaya jam-o-subu ko hum ne khanak na karna

    chhalawe ban jaen aage ja kar yahi ghazalan

    taaqub in mah-washon ka tum dur tak na karna

    ye gham ke mani tujhe lage hai sarab-e-mani

    akele sahna use gham-e-mushtarak na karna

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 330)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now