aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taq mein kaun rakh gaya ek diya aur ek phul

Ishrat Afreen

taq mein kaun rakh gaya ek diya aur ek phul

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    taaq meñ kaun rakh gayā ek diyā aur ek phuul

    dhyān meñ phir se jal uThā ek diyā aur ek phuul

    mere tumhāre darmiyāñ qatra-e-ashk rā.egāñ

    pichhlī rutoñ sāneha ek diyā aur ek phuul

    ḳhvāb ḳhvāb meñ kaTī umr tamām jal bujhī

    terā kahā mirā sunā ek diyā aur ek phuul

    shām-e-firāq qasam aur to kuchh na paas thā

    tere liye bachā liyā ek diyā aur ek phuul

    bām-e-murād tak mire haath na sake magar

    der talak jalā kiyā ek diyā aur ek phuul

    terī udaas aañkh se mere ḳhamosh hoñT tak

    harf-e-visāl kyā huā ek diyā aur ek phuul

    jashn raat jab tire naam pe log chup se the

    maiñ ne yūñhī uThā liyā ek diyā aur ek phuul

    taq mein kaun rakh gaya ek diya aur ek phul

    dhyan mein phir se jal uTha ek diya aur ek phul

    mere tumhaare darmiyan qatra-e-ashk raegan

    pichhli ruton ka saneha ek diya aur ek phul

    KHwab hi KHwab mein kaTi umr tamam jal bujhi

    tera kaha mera suna ek diya aur ek phul

    sham-e-firaq ki qasam aur to kuchh na pas tha

    tere liye bacha liya ek diya aur ek phul

    baam-e-murad tak mere hath na ja sake magar

    der talak jala kiya ek diya aur ek phul

    teri udas aankh se mere KHamosh honT tak

    harf-e-visal kya hua ek diya aur ek phul

    jashn ki raat jab tere nam pe log chup se the

    main ne yunhi uTha liya ek diya aur ek phul

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now