tare laraz rahe the falak pash-pash tha
taare laraz rahe the falak pāsh-pāsh thā
aisā kisī nigāh meñ kyā irti'āsh thā
ham jī rahe haiñ aise havādis meñ in dinoñ
jin kā kabhī gumāñ bhī tasavvur-ḳharāsh thā
kuchh sang-zehn log jo ham-'asr the mire
maiñ un kā ham-zamāñ thā mohabbat-tarāsh thā
badlā huā thā tīrgī kā rang is qadar
niklā jo āftāb to andhoñ pe faash thā
ham ne baḌe fareb meñ kaaTī hai zindagī
maqsad tamām 'umr kā fikr-e-ma'āsh thā
tare laraz rahe the falak pash-pash tha
aisa kisi nigah mein kya irti'ash tha
hum ji rahe hain aise hawadis mein in dinon
jin ka kabhi guman bhi tasawwur-KHarash tha
kuchh sang-zehn log jo ham-'asr the mere
main un ka ham-zaman tha mohabbat-tarash tha
badla hua tha tirgi ka rang is qadar
nikla jo aaftab to andhon pe fash tha
hum ne baDe fareb mein kaTi hai zindagi
maqsad tamam 'umr ka fikr-e-ma'ash tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.