tarif-e-husn-e-yar karen kis zaban se hum
tārīf-e-husn-e-yār kareñ kis zabāñ se ham
lafzoñ meñ itnā hausla laa.eñ kahāñ se ham
pechīda pur-ḳhatar haiñ ye ulfat ke rāste
ab bhī vahīñ khaḌe haiñ chale the jahāñ se ham
chehrā bayān karne lagā dil kī dāstāñ
hālat ko apnī kaise chhupāte jahāñ se ham
naqqāsh dikh rahā hai har ik naqsh meñ hameñ
aage nikal chuke haiñ yaqīn-o-gumāñ se ham
lab sī liye to āñkhoñ se iz.hār ho gayā
kyā rāz-e-dil chhupāte bhalā rāz-dāñ se ham
izn-e-suḳhan jo aa gayā mahfil se yaar kī
takne lage haiñ ḳhud ko yahāñ se vahāñ se ham
tarif-e-husn-e-yar karen kis zaban se hum
lafzon mein itna hausla laen kahan se hum
pechida pur-KHatar hain ye ulfat ke raste
ab bhi wahin khaDe hain chale the jahan se hum
chehra bayan karne laga dil ki dastan
haalat ko apni kaise chhupate jahan se hum
naqqash dikh raha hai har ek naqsh mein hamein
aage nikal chuke hain yaqin-o-guman se hum
lab si liye to aankhon se izhaar ho gaya
kya raaz-e-dil chhupate bhala raaz-dan se hum
izn-e-suKHan jo aa gaya mahfil se yar ki
takne lage hain KHud ko yahan se wahan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.