aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya

Ismail Merathi

tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    tārīf us ḳhudā jis ne jahāñ banāyā

    kaisī zamīñ banā.ī kyā āsmāñ banāyā

    paañv tale bichhāyā kyā ḳhuub farsh-e-ḳhākī

    aur sar pe lājvardī ik sā.ibāñ banāyā

    miTTī se bel-būTe kyā ḳhushnumā ugaa.e

    pahnā ke sabz ḳhil.at un ko javāñ banāyā

    ḳhush-rang aur ḳhushbū gul phuul haiñ khilā.e

    is ḳhaak ke khañDar ko kyā gulsitāñ banāyā

    meve lagā.e kyā kyā ḳhush-zā.eqa rasīle

    chakhne se jin ke mujh ko shīrīñ-dahāñ banāyā

    sūraj banā ke ne raunaq jahāñ ko baḳhshī

    rahne ko ye hamāre achchhā makāñ banāyā

    pyāsī zamīñ ke muñh meñ meñh chuvāyā paanī

    aur bādaloñ ko ne meñh nishāñ banāyā

    ye pyārī pyārī chiḌiyāñ phirtī haiñ jo chahaktī

    qudrat ne terī un ko tasbīh-ḳhvāñ banāyā

    tinke uThā uThā kar lā.īñ kahāñ kahāñ se

    kis ḳhūb-sūratī se phir āshiyāñ banāyā

    ūñchī uḌeñ havā meñ bachchoñ ko par na bhūleñ

    in be-paroñ un ko rozī-rasāñ banāyā

    kyā duudh dene vaalī gaa.eñ banā.īñ ne

    chaḌhne ko mere ghoḌā kyā ḳhush-ināñ banāyā

    rahmat se terī kyā kyā haiñ nemateñ mayassar

    in ne.amatoñ mujh ko hai qadr-dāñ banāyā

    āb-e-ravāñ ke andar machhlī banā.ī ne

    machhlī ke tairne ko āb-e-ravāñ banāyā

    har chiiz se hai terī kārīgarī Tapaktī

    ye kārḳhāna ne kab rā.egāñ banāyā

    tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya

    kaisi zamin banai kya aasman banaya

    panw tale bichhaya kya KHub farsh-e-KHaki

    aur sar pe lajwardi ek saiban banaya

    miTTi se bel-buTe kya KHushnuma ugae

    pahna ke sabz KHilat un ko jawan banaya

    KHush-rang aur KHushbu gul phul hain khilae

    is KHak ke khanDar ko kya gulsitan banaya

    mewe lagae kya kya KHush-zaeqa rasile

    chakhne se jin ke mujh ko shirin-dahan banaya

    suraj bana ke tu ne raunaq jahan ko baKHshi

    rahne ko ye hamare achchha makan banaya

    pyasi zamin ke munh mein meinh ka chuwaya pani

    aur baadalon ko tu ne meinh ka nishan banaya

    ye pyari pyari chiDiyan phirti hain jo chahakti

    qudrat ne teri un ko tasbih-KHwan banaya

    tinke uTha uTha kar lain kahan kahan se

    kis KHub-surati se phir aashiyan banaya

    unchi uDen hawa mein bachchon ko par na bhulen

    in be-paron ka un ko rozi-rasan banaya

    kya dudh dene wali gaen banain tu ne

    chaDhne ko mere ghoDa kya KHush-inan banaya

    rahmat se teri kya kya hain nematen mayassar

    in neamaton ka mujh ko hai qadr-dan banaya

    aab-e-rawan ke andar machhli banai tu ne

    machhli ke tairne ko aab-e-rawan banaya

    har chiz se hai teri karigari Tapakti

    ye karKHana tu ne kab raegan banaya

    Source:

    Kulliyat-w-Hayat-e-Ismail Ba-Tasveer (Pg. ebook-459 page-271)

    • Author: Mohammad Aslam Saifi
      • Edition: 1939
      • Publisher: Dayal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now