Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarik ujalon mein be-KHwab nahin rahna

Azra Waheed

tarik ujalon mein be-KHwab nahin rahna

Azra Waheed

MORE BYAzra Waheed

    tārīk ujāloñ meñ be-ḳhvāb nahīñ rahnā

    us ziist ke dariyā ko pāyāb nahīñ rahnā

    sarsabz jazīroñ ubhregī shabāhat bhī

    us ziist samundar ko be-āb nahīñ rahnā

    is hijr-e-musalsal aadat bhī kabhī hogī

    hoñToñ pe sadā ġham zahrāb nahīñ rahnā

    chhan chhan ke bahegā din bādal ridāoñ se

    sūraj shuāoñ ko nāyāb nahīñ rahnā

    us raat ke māthe par ubhreñge sitāre bhī

    ye ḳhauf añdheroñ shādāb nahīñ rahnā

    tarik ujalon mein be-KHwab nahin rahna

    us zist ke dariya ko payab nahin rahna

    sarsabz jaziron ki ubhregi shabahat bhi

    us zist samundar ko be-ab nahin rahna

    is hijr-e-musalsal ki aadat bhi kabhi hogi

    honTon pe sada gham ka zahrab nahin rahna

    chhan chhan ke bahega din baadal ki ridaon se

    suraj ki shuaon ko nayab nahin rahna

    us raat ke mathe par ubhrenge sitare bhi

    ye KHauf andheron ka shadab nahin rahna

    Source:

    Lahar Lahar (Pg. 30)

    • Author: Azra Waheed
      • Edition: 1989
      • Publisher: Karwan-e-Adab Multan Sadr, Lahore
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now