tariKH ke auraq se jab gard haTegi
tārīḳh ke aurāq se jab gard haTegī
sachchā.ī ke chehre pe nazar bhī to paḌegī
suulī hai agar haq ke liye daur-e-ḳhirad meñ
taqdīr-e-junūñ paañv ko zanjīr rahegī
aatā hai tumheñ zahr pilānā to pilāo
ye pyaas hamārī na bujhī hai na bujhegī
ye chāñd kī kirneñ ye hasīñ raat kā jaadū
dhaḌkan abhī dil kī mire kuchh aur baḌhegī
ehsās ne qurbat ke jagā rakkhā hai utnā
ab niiñd bhī shāyad mirī āñkhoñ meñ chubhegī
jab duur nahīñ mausam-e-gul daur-e-ḳhizāñ se
ye ġham kī siyah raat sahar meñ bhī Dhalegī
jaanā hai kidhar kar lo 'nafīs' ab ye ta'ayyun
kuchh duur hī ye rāhguzar saath chalegī
tariKH ke auraq se jab gard haTegi
sachchai ke chehre pe nazar bhi to paDegi
suli hai agar haq ke liye daur-e-KHirad mein
taqdir-e-junun panw ko zanjir rahegi
aata hai tumhein zahr pilana to pilao
ye pyas hamari na bujhi hai na bujhegi
ye chand ki kirnen ye hasin raat ka jadu
dhaDkan abhi dil ki mere kuchh aur baDhegi
ehsas ne qurbat ke jaga rakkha hai utna
ab nind bhi shayad meri aankhon mein chubhegi
jab dur nahin mausam-e-gul daur-e-KHizan se
ye gham ki siyah raat sahar mein bhi Dhalegi
jaana hai kidhar kar lo 'nafis' ab ye ta'ayyun
kuchh dur hi ye rahguzar sath chalegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.