aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taron se bhari rahguzar le ke gai hai

Mazhar Imam

taron se bhari rahguzar le ke gai hai

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    tāroñ se bharī rāhguzar le ke ga.ī hai

    ye sub.h charāġhoñ nagar le ke ga.ī hai

    tum ko to pata hogā ki hamrāh tumhīñ the

    duniyā mire ḳhvāboñ ko kidhar le ke ga.ī hai

    pyāse the to paanī ko pukārā thā hamīñ ne

    naddī idhar aa.ī hai to ghar le ke ga.ī hai

    ik manzil-e-be-maqsad o be-nām ḳhvāhish

    kāñToñ savārī pe safar le ke ga.ī hai

    be-bāl-o-parī ab bhī sar-e-dasht hai mahfūz

    āñdhī to faqat barg o samar le ke ga.ī hai

    shāyad ki ab aa.e tirī qurbat na.ī fasl

    is baar duā bāb-e-asar le ke ga.ī hai

    chamkegā abhī zevar-e-shahzādi-e-mahtāb

    us tak vo mire shab ḳhabar le ke ga.ī hai

    taron se bhari rahguzar le ke gai hai

    ye subh charaghon ka nagar le ke gai hai

    tum ko to pata hoga ki hamrah tumhin the

    duniya mere KHwabon ko kidhar le ke gai hai

    pyase the to pani ko pukara tha hamin ne

    naddi idhar aai hai to ghar le ke gai hai

    ek manzil-e-be-maqsad o be-nam ki KHwahish

    kanTon ki sawari pe safar le ke gai hai

    be-baal-o-pari ab bhi sar-e-dasht hai mahfuz

    aandhi to faqat barg o samar le ke gai hai

    shayad ki ab aae teri qurbat ki nai fasl

    is bar dua bab-e-asar le ke gai hai

    chamkega abhi zewar-e-shahzadi-e-mahtab

    us tak wo mere shab ki KHabar le ke gai hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    taron se bhari rahguzar le ke gai hai Nomaan Shauque

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 110)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now