taza hain zaKHm aaj bhi pichhli bahaar ke
taaza haiñ zaḳhm aaj bhī pichhlī bahār ke
sab yaad haiñ karam mujhe us ġham-gusār ke
kab aa.egī ye maut mujhe kab milegā chain
din ḳhatm hoñge kab mire ye intizār ke
ruktā nahīñ koī bhī musāfir haiñ sab yahāñ
har koī chhoḌ jaatā hai kuchh din guzār ke
bhūlā huā thā apnī maiñ auqāt 'ishq meñ
us ne sahī kiyā mujhe dil se utaar ke
taza hain zaKHm aaj bhi pichhli bahaar ke
sab yaad hain karam mujhe us gham-gusar ke
kab aaegi ye maut mujhe kab milega chain
din KHatm honge kab mere ye intizar ke
rukta nahin koi bhi musafir hain sab yahan
har koi chhoD jata hai kuchh din guzar ke
bhula hua tha apni main auqat 'ishq mein
us ne sahi kiya mujhe dil se utar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.