Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tazgi aariz-e-gul pe hai na ranai hai

Shareef Ahmad Qureshi

tazgi aariz-e-gul pe hai na ranai hai

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    tāzgī āriz-e-gul pe hai na ra.anā.ī hai

    kaun kahtā hai gulistāñ meñ bahār aa.ī hai

    zindagī saare marāhil se guzar aa.ī hai

    ab to bas hai tirī yaad hai tanhā.ī hai

    nīchī nazreñ kiye ḳhāmosh dekhā us ko

    jis tasvīr meñ bhī quvvat-e-goyā.ī hai

    ki mastūr hai āñkhoñ se ye taslīm magar

    zarre zarre se ayaañ kis ye ra.anā.ī hai

    dekhiye le ke kahāñ jaatī hai ab mauj-e-balā

    gahre dariyā se to ye ziist ubhar aa.ī hai

    din ke Dhalte chalī aatī hai paas mire

    kitnī monis mirī ai shab-e-tanhā.ī hai

    dil mirā TuuT gayā hai to ye aalam hai 'sharīf'

    naġhme be-kaif haiñ ġhamgīn shahnā.ī hai

    tazgi aariz-e-gul pe hai na ranai hai

    kaun kahta hai gulistan mein bahaar aai hai

    zindagi sare marahil se guzar aai hai

    ab to bas tu hai teri yaad hai tanhai hai

    nichi nazren kiye KHamosh hi dekha us ko

    jis ki taswir mein bhi quwwat-e-goyai hai

    tu ki mastur hai aankhon se ye taslim magar

    zarre zarre se ayan kis ki ye ranai hai

    dekhiye le ke kahan jati hai ab mauj-e-bala

    gahre dariya se to ye zist ubhar aai hai

    din ke Dhalte hi chali aati hai tu pas mere

    kitni monis tu meri ai shab-e-tanhai hai

    dil mera TuT gaya hai to ye aalam hai 'sharif'

    naghme be-kaif hain ghamgin si shahnai hai

    Source:

    Teesri Aankh (Pg. 65)

    • Author: Shareef Ahmad Qureshi
      • Publisher: Shareef Ahmad Qureshi
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now