tabahi raqs karti hai sada jin ke ishaaron par
tabāhī raqs kartī hai sadā jin ke ishāroñ par
unhī kā bāġh-e-ālam meñ tasallut hai bahāroñ par
bulandī raas na aa.e jinheñ vo nīche girte haiñ
yahī nazzāra miltā hai hamesha ābshāroñ par
nasha koī bhī ho kuchh sochiye detā nahīñ ruk kar
baḌā mushkil hai ruk jaanā Dhalānoñ par utāroñ par
vahī paate haiñ gauhar jo utarte haiñ samundar meñ
milegā kyā unheñ jo baiTh jaate haiñ kināroñ par
jo gul hoñ to añdherā ho jo bhaḌkeñ aag lag jaa.e
bharosa kar liyā ham ne kuchh aise hī sharāroñ par
fazā-e-ālam-e-hastī mo.attar hai hamīñ se aaj
hamārā hī sadā se qarz hai aatī bahāroñ par
nahīñ hai ai 'razā' farzāngī kuchh ilm par mauqūf
ki ġhālib aa ga.e dīvāne aksar hoshyāroñ par
tabahi raqs karti hai sada jin ke ishaaron par
unhi ka bagh-e-alam mein tasallut hai bahaaron par
bulandi ras na aae jinhen wo niche girte hain
yahi nazzara milta hai hamesha aabshaaron par
nasha koi bhi ho kuchh sochiye deta nahin ruk kar
baDa mushkil hai ruk jaana Dhalanon par utaron par
wahi pate hain gauhar jo utarte hain samundar mein
milega kya unhen jo baiTh jate hain kinaron par
jo gul hon to andhera ho jo bhaDken aag lag jae
bharosa kar liya hum ne kuchh aise hi shararon par
faza-e-alam-e-hasti moattar hai hamin se aaj
hamara hi sada se qarz hai aati bahaaron par
nahin hai ai 'raza' farzangi kuchh ilm par mauquf
ki ghaalib aa gae diwane aksar hoshyaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.