Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tabiat jab meri aamada-e-tadbir hoti hai

Sahir Siyalkoti

tabiat jab meri aamada-e-tadbir hoti hai

Sahir Siyalkoti

MORE BYSahir Siyalkoti

    tabī.at jab mirī āmāda-e-tadbīr hotī hai

    karam-farmā hamesha shūmī-e-taqdīr hotī hai

    kahīñ rusvā.iyoñ se ibtidā meñ na Dar jaanā

    mohabbat rafta rafta bā.is-e-tauqīr hotī hai

    mujhe inkār kyā hai un se ḳhud kar bhī milne meñ

    dil-e-ḳhuddār kahtā hai mirī tahqīr hotī hai

    takabbur se kahīñ ai dil use zaa.e.a na kar denā

    baḌī mushkil se paidā aah meñ tāsīr hotī hai

    tire ḳhat ko mulāqāt-e-mukammal kyuuñ na maiñ samjhūñ

    tirī tahrīr meñ bhī lazzat-e-taqrīr hotī hai

    uḌā jaatā hai dāman har kisī dhajjiyāñ ho kar

    havas kuchh is tarah duniyā meñ dāman-gīr hotī hai

    tirī tasvīr bhī kuchh kam nahīñ hai dil-farebī meñ

    ḳhamoshī meñ bhī kyā kyā shoḳhī-e-taqrīr hotī hai

    vahī merī ḳhāmoshī vahī merī hairānī

    tirī tasvīr se paidā mirī tasvīr hotī hai

    ise kahte haiñ 'sāhir' husn rūdād bhī lekin

    ġhazal apnī hamesha ishq tafsīr hotī hai

    tabiat jab meri aamada-e-tadbir hoti hai

    karam-farma hamesha shumi-e-taqdir hoti hai

    kahin ruswaiyon se ibtida hi mein na Dar jaana

    mohabbat rafta rafta bais-e-tauqir hoti hai

    mujhe inkar kya hai un se KHud ja kar bhi milne mein

    dil-e-KHuddar kahta hai meri tahqir hoti hai

    takabbur se kahin ai dil use zaea na kar dena

    baDi mushkil se paida aah mein tasir hoti hai

    tere KHat ko mulaqat-e-mukammal kyun na main samjhun

    teri tahrir mein bhi lazzat-e-taqrir hoti hai

    uDa jata hai daman har kisi ka dhajjiyan ho kar

    hawas kuchh is tarah duniya mein daman-gir hoti hai

    teri taswir bhi kuchh kam nahin hai dil-farebi mein

    KHamoshi mein bhi kya kya shoKHi-e-taqrir hoti hai

    wahi meri si KHamoshi wahi meri si hairani

    teri taswir se paida meri taswir hoti hai

    ise kahte hain 'sahir' husn ki rudad bhi lekin

    ghazal apni hamesha ishq ki tafsir hoti hai

    Source:

    Hareem-e-Sukhan (Pg. 117)

    • Author: Sahir Siyalkoti
      • Publisher: Charanjeet Laal
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now