Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tabsira yun na mere haal pe itna hota

Shabnam Naqvi

tabsira yun na mere haal pe itna hota

Shabnam Naqvi

MORE BYShabnam Naqvi

    tabsira yuuñ na mire haal pe itnā hotā

    us ko nazdīk se duniyā ne jo dekhā hotā

    koī marte hue lamhoñ masīhā hotā

    karb tanhā.ī ehsās na itnā hotā

    ye jo aahaT tarah saath mire rahtā hai

    ban ke tasvīr kabhī sāmne aayā hotā

    de gayā jo mujhe tapte hue lamhoñ gudāz

    kaash vo dard mire vāste tanhā hotā

    maiñ ki jaisā huuñ ba-har-hāl nazar meñ aatā

    mujh ko ehsās nazroñ se to dekhā hotā

    aisā lagtā hai dobārā na milegā mujh se

    is tarah TuuT ke vo yaad na aayā hotā

    kyā milā jaag ke batlā.īye 'shabnam'-sāhab

    is se achchhā thā koī ḳhvāb dekhā hotā

    tabsira yun na mere haal pe itna hota

    us ko nazdik se duniya ne jo dekha hota

    koi marte hue lamhon ka masiha hota

    karb tanhai ka ehsas na itna hota

    ye jo aahaT ki tarah sath mere rahta hai

    ban ke taswir kabhi samne aaya hota

    de gaya jo mujhe tapte hue lamhon ka gudaz

    kash wo dard mere waste tanha hota

    main ki jaisa hun ba-har-haal nazar mein aata

    mujh ko ehsas ki nazron se to dekha hota

    aisa lagta hai dobara na milega mujh se

    is tarah TuT ke wo yaad na aaya hota

    kya mila jag ke batlaiye 'shabnam'-sahab

    is se achchha tha koi KHwab hi dekha hota

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 237)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now