Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki

Safi Lakhnavi

taDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki

Safi Lakhnavi

MORE BYSafi Lakhnavi

    taḌap ke raat basar jo ik muhim sar

    chhurī thī mere liye jo shikan thī bistar

    araq araq haiñ jo garmī se roz-e-mahshar

    panāh DhūñDte haiñ mere dāman-e-tar

    huā gumān usī shoḳh-e-sust-paimāñ

    agar havā se bhī zanjīr hil ga.ī dar

    isī taraf tire qurbāñ nigāh-e-sharm-ālūd

    mujhī pe tez ho ye baaḌh kund ḳhanjar

    ḳhirām vo jo hilā de jigar farishtoñ

    nigāh vo jo ulaT de safoñ ko mahshar

    sajā.ī hazrat-e-vā.iz ne kis takalluf se

    matā-e-zohd-o-varā sīḌhiyoñ pe mimbar

    ubuur bahr-e-haqīqat se jab nahīñ mumkin

    kināre baiTh ke lahreñ ginūñ samundar

    sunegā kaun sunī jā.egī 'safī' kis se

    tumhārī rām-kahānī ye zindagī bhar

    taDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki

    chhuri thi mere liye jo shikan thi bistar ki

    araq araq hain jo garmi se roz-e-mahshar ki

    panah DhunDte hain mere daman-e-tar ki

    hua guman usi shoKH-e-sust-paiman ka

    agar hawa se bhi zanjir hil gai dar ki

    isi taraf tere qurban nigah-e-sharm-alud

    mujhi pe tez ho ye baDh kund KHanjar ki

    KHiram wo jo hila de jigar farishton ka

    nigah wo jo ulaT de safon ko mahshar ki

    sajai hazrat-e-waiz ne kis takalluf se

    mata-e-zohd-o-wara siDhiyon pe mimbar ki

    ubur bahr-e-haqiqat se jab nahin mumkin

    kinare baiTh ke lahren ginun samundar ki

    sunega kaun suni jaegi 'safi' kis se

    tumhaari ram-kahani ye zindagi bhar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now