Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taDap se chiKH uTThega jo use KHun-Khaar kah denge

Jai Raj Singh Jhala

taDap se chiKH uTThega jo use KHun-Khaar kah denge

Jai Raj Singh Jhala

MORE BYJai Raj Singh Jhala

    taḌap se chīḳh uTThegā jo use ḳhūñ-ḳhār kah deñge

    kahegā āp-bītī jo use bīmār kah deñge

    ye aalam hai ki gar kuchh bhī kahā in aql vāloñ se

    to ye us meñ milā kar aur bhī do-chār kah deñge

    vo rahte haiñ jahāñ par jānte haiñ ye jahannum hai

    magar bechāre ġham ke maare sab finnār kah deñge

    gar un se pūchhā jaa.e aap ne āḳhir kiyā kyā

    khaḌī kar aaTh das īñTeñ use mīnār kah deñge

    bavanDar se makāñ gar gir ga.e mere adūoñ ke

    to ye tānūr ko bhī merā janib-dār kah deñge

    rahā jo phūloñ se parde haTāne himāyat meñ

    usī ġham-ḳhvār ko sab tālib-e-dīdār kah deñge

    badalte daur meñ ik khel dekhegā madārī bhī

    rakhā jo jeb meñ hogā use dīnār kah deñge

    mire hāthoñ banegā jo bhī vo be-kār hogā

    musavvir har ik tasvīr ko shahkār kah deñge

    hunar ab siikh lo 'jhālā' kahīñ se ġham-nigārī

    yahāñ sab dil jale haiñ tumheñ fankār kah deñge

    taDap se chiKH uTThega jo use KHun-KHar kah denge

    kahega aap-biti jo use bimar kah denge

    ye aalam hai ki gar kuchh bhi kaha in aql walon se

    to ye us mein mila kar aur bhi do-chaar kah denge

    wo rahte hain jahan par jaante hain ye jahannum hai

    magar bechaare gham ke mare sab finnar kah denge

    gar un se puchha jae aap ne aaKHir kiya hi kya

    khaDi kar aaTh das inTen use minar kah denge

    bawanDar se makan gar gir gae mere aduon ke

    to ye tanur ko bhi mera janib-dar kah denge

    raha jo phulon se parde haTane ki himayat mein

    usi gham-KHwar ko sab talib-e-didar kah denge

    badalte daur mein ek khel dekhega madari bhi

    rakha jo jeb mein hoga use dinar kah denge

    mere hathon banega jo bhi wo be-kar hi hoga

    musawwir ki har ek taswir ko shahkar kah denge

    hunar ab sikh lo 'jhaala' kahin se gham-nigari ka

    yahan sab dil jale hi hain tumhein fankar kah denge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now