Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tadbir hamare milne ki jis waqt koi Thahraoge tum

Nazeer Akbarabadi

tadbir hamare milne ki jis waqt koi Thahraoge tum

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    tadbīr hamāre milne jis vaqt koī Thahrāoge tum

    ham aur chhupeñge yahāñ tak jo ḳhuub phir ghabrāoge tum

    bezār karoge dil ham se minnat-e-dar se rokoge

    vo dil to hamāre bas meñ hai kis taur use samjhāoge tum

    gir jādū-mantar sīkhoge to sehr hamārī nazroñ

    is kūche meñ biThlāve. phir kahiye kyūñkar aaoge tum

    gar chhup kar dekhne aaoge ham apne bālā-ḳhāne ke

    sab parde chhoḌe rakkheñge phir kyūñkar dekhne pāoge tum

    gar jādū-mantar sīkhoge to sahar hamārī nazroñ

    tāsīr ko us kho degā kuchh pesh nahīñ le jāoge tum

    tasvīr agar mañgvāoge to dekh hamārī sūrat ko

    hairān musavvir hovegā phir rañg kaho kyā lāoge tum

    jo vaqt 'nazīr' in bātoñ ham ḳhuub kareñge hushyārī

    jo harf zabāñ par lāoge tum phir kyūñkar dikhlāoge tum

    tadbir hamare milne ki jis waqt koi Thahraoge tum

    hum aur chhupenge yahan tak ji jo KHub hi phir ghabraoge tum

    bezar karoge dil hum se ya minnat-e-dar se rokoge

    wo dil to hamare bas mein hai kis taur use samjhaoge tum

    gir jadu-mantar sikhoge to sehr hamari nazron ka

    is kuche mein biThlawe phir kahiye kyunkar aaoge tum

    gar chhup kar dekhne aaoge hum apne baala-KHane ke

    sab parde chhoDe rakkhenge phir kyunkar dekhne paoge tum

    gar jadu-mantar sikhoge to sahar hamari nazron ka

    tasir ko us ki kho dega kuchh pesh nahin le jaoge tum

    taswir agar mangwaoge to dekh hamari surat ko

    hairan musawwir howega phir rang kaho kya laoge tum

    jo waqt 'nazir' in baaton ki hum KHub karenge hushyari

    jo harf zaban par laoge tum phir kyunkar dikhlaoge tum

    Source:

    Deewan-e-Nazeer Akbarabadi (Pg. page-53 ebook-175)

      • Edition: 1942
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now