Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tadbir mein yaro nahin taqsir tumhaari

Zain-ul-Abideen Khan Arif

tadbir mein yaro nahin taqsir tumhaari

Zain-ul-Abideen Khan Arif

MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif

    tadbīr meñ yaaro nahīñ taqsīr tumhārī

    taqdīr mirī ho ga.ī tadbīr tumhārī

    kyā mar ga.e zindāñ meñ asīrān-e-mohabbat

    āvāz nahīñ detī hai zanjīr tumhārī

    tum aan ke samjhāo mire dil ko to shāyad

    kar jaa.e nasīhat koī tāsīr tumhārī

    rahtī hai pareshāñ jo sarāsar ye hamesha

    kis pech meñ hai zulf-e-girah-gīr tumhārī

    jab dād-e-suḳhan miltī tumheñ hazrat-e-'ārif'

    suntā jo ġhazal aaj ko ye 'mīr' tumhārī

    tadbir mein yaro nahin taqsir tumhaari

    taqdir meri ho gai tadbir tumhaari

    kya mar gae zindan mein asiran-e-mohabbat

    aawaz nahin deti hai zanjir tumhaari

    tum aan ke samjhao mere dil ko to shayad

    kar jae nasihat koi tasir tumhaari

    rahti hai pareshan jo sarasar ye hamesha

    kis pech mein hai zulf-e-girah-gir tumhaari

    jab dad-e-suKHan milti tumhein hazrat-e-'arif'

    sunta jo ghazal aaj ko ye 'mir' tumhaari

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now