tahlil hui shab ki siyahi mein sada tak
tahlīl huī shab kī siyāhī meñ sadā tak
jalne na dī tūfān ne qindīl-e-anā tak
vo hashr ki kaTtā hī gayā rābta-e-hosh
vo jabr ki hoñThoñ pe nahīñ harf-e-du'ā tak
pahuñchā hī nahīñ tā-ba-falak nāla-e-jāñ-soz
is shahr meñ pāband-e-salāsil hai havā tak
ham banda-e-be-yār-o-madadgār the ḳhāmosh
ḳhāmosh rahā kūcha-e-qātil meñ ḳhudā tak
ādāb-e-vafā-jūī meñ ye sham'-e-pareshāñ
har rang meñ jaltī rahī takmīl-e-jafā tak
tahlil hui shab ki siyahi mein sada tak
jalne na di tufan ne qindil-e-ana tak
wo hashr ki kaTta hi gaya rabta-e-hosh
wo jabr ki honThon pe nahin harf-e-du'a tak
pahuncha hi nahin ta-ba-falak nala-e-jaan-soz
is shahr mein paband-e-salasil hai hawa tak
hum banda-e-be-yar-o-madadgar the KHamosh
KHamosh raha kucha-e-qatil mein KHuda tak
aadab-e-wafa-jui mein ye sham'-e-pareshan
har rang mein jalti rahi takmil-e-jafa tak
- Book : Ishq (Pg. 75)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.