Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tahlil mausamon mein kar ke ajab nasha sa

Rafique Khayal

tahlil mausamon mein kar ke ajab nasha sa

Rafique Khayal

MORE BYRafique Khayal

    tahlīl mausamoñ meñ kar ke ajab nasha

    phailā huā hai har-sū kuchh din se rat-jagā

    milte haiñ roz un se hasrat sarhadoñ par

    rahtā hai phir bhī haa.il kyuuñ jaane fāsla

    barsoñ ke sab marāsim toḌe haiñ us ne aise

    pal bhar meñ TuuT jaa.e jis tarah aa.inā

    taaza rafāqatoñ ke pur-kaif silsiloñ meñ

    rahtā hai dil na jaane ab kyuuñ Darā Darā

    merī balā se chāhat laakh bārisheñ hoñ

    maiñ pahle bhī thā pyāsā maiñ aaj bhī huuñ pyāsā

    donoñ meñ aaj tak vo pahlī tishnagī hai

    phir vasl meñ nahīñ kyuuñ vo lutf ibtidā

    tanhā.iyoñ zad meñ rahtī hai ruuh merī

    is vāste huuñ yaaro maiñ aaj kal bujhā

    Takrā ga.e jo un se ham raah meñ achānak

    ik dāstāñ huī phir vo hadisā zarā

    jis par nigāh Thahrī jān-e-'ḳhayāl' apnī

    vo ajnabī hai lekin lagtā hai āshnā

    tahlil mausamon mein kar ke ajab nasha sa

    phaila hua hai har-su kuchh din se rat-jaga sa

    milte hain roz un se hasrat ki sarhadon par

    rahta hai phir bhi hail kyun jaane fasla sa

    barson ke sab marasim toDe hain us ne aise

    pal bhar mein TuT jae jis tarah aaina sa

    taza rafaqaton ke pur-kaif silsilon mein

    rahta hai dil na jaane ab kyun Dara Dara sa

    meri bala se chahat ki lakh barishen hon

    main pahle bhi tha pyasa main aaj bhi hun pyasa

    donon mein aaj tak wo pahli si tishnagi hai

    phir wasl mein nahin kyun wo lutf ibtida sa

    tanhaiyon ki zad mein rahti hai ruh meri

    is waste hun yaro main aaj kal bujha sa

    Takra gae jo un se hum rah mein achanak

    ek dastan hui phir wo hadisa zara sa

    jis par nigah Thahri jaan-e-'KHayal' apni

    wo ajnabi hai lekin lagta hai aashna sa

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now