Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tahqiq ka charagh jala dil ko dil bana

Sahab Ahmedabadi

tahqiq ka charagh jala dil ko dil bana

Sahab Ahmedabadi

MORE BYSahab Ahmedabadi

    tahqīq charāġh jalā dil ko dil banā

    ġhaflat ke sab hijāb miTā dil ko dil banā

    ye jalva-gāh-e-husn hai kuchh is qadr kar

    tasvīr-e-yār is meñ lagā dil ko dil banā

    marne se pahle siikh le mar jaane hunar

    har saañs de rahī hai sadā dil ko dil banā

    dhaḌkan dastakoñ pe zarā kaan to lagā

    le saut-e-sarmadī maza dil ko dil banā

    ġham meñ tujhe na ġham ho ḳhushī meñ ḳhushī na ho

    dil ko is maqām pe dil ko dil banā

    tahqiq ka charagh jala dil ko dil bana

    ghaflat ke sab hijab miTa dil ko dil bana

    ye jalwa-gah-e-husn hai kuchh is ki qadr kar

    taswir-e-yar is mein laga dil ko dil bana

    marne se pahle sikh le mar jaane ka hunar

    har sans de rahi hai sada dil ko dil bana

    dhaDkan ki dastakon pe zara kan to laga

    le saut-e-sarmadi ka maza dil ko dil bana

    gham mein tujhe na gham ho KHushi mein KHushi na ho

    la dil ko is maqam pe la dil ko dil bana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now