Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tahrir badalti hai taqdir badalti hai

Shamsii Meenai

tahrir badalti hai taqdir badalti hai

Shamsii Meenai

MORE BYShamsii Meenai

    tahrīr badaltī hai taqdīr badaltī hai

    māhaul badalne se tadbīr badaltī hai

    jab rañg badaltā hai us chashm-e-fusūñ-gar

    har jur.a-e-sahbā tāsīr badaltī hai

    ye kyā tirī nisbat se har shai meñ talavvun hai

    har lamha tire ġham tasvīr badaltī hai

    hotā hai ik arsa tak jab ḳhuun tamannā

    tab ḳhvāb-e-mohabbat ta.abīr badaltī hai

    vo kuchh bhī kaheñ lekin maiñ ḳhuub samajhtā huuñ

    ik jumbish-e-mizhgāñ se taqdīr badaltī hai

    āzādī ke dīvāne qaidī ko ḳhabar de do

    hotī hai rihā.ī kab zanjīr badaltī hai

    tahrir badalti hai taqdir badalti hai

    mahaul badalne se tadbir badalti hai

    jab rang badalta hai us chashm-e-fusun-gar ka

    har jura-e-sahba ki tasir badalti hai

    ye kya teri nisbat se har shai mein talawwun hai

    har lamha tere gham ki taswir badalti hai

    hota hai ek arsa tak jab KHun tamanna ka

    tab KHwab-e-mohabbat ki tabir badalti hai

    wo kuchh bhi kahen lekin main KHub samajhta hun

    ek jumbish-e-mizhgan se taqdir badalti hai

    aazadi ke diwane qaidi ko KHabar de do

    hoti hai rihai kab zanjir badalti hai

    Source:

    Shair-e-Khushnawa Hazrat Shamsi Meenai (Pg. 61)

      • Publisher: Usman Shamsi Meenai
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now