Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tajalliyon se andheron ki jang jari hai

Mohammad Azhar Shams

tajalliyon se andheron ki jang jari hai

Mohammad Azhar Shams

MORE BYMohammad Azhar Shams

    tajalliyoñ se añdheroñ jang jaarī hai

    ujāle surḳh-rū hoñ ye du'ā hamārī hai

    jahāñ pe kal thā gulsitāñ vo aaj maqtal hai

    falak ḳhamosh hai phir dekheñ kis baarī hai

    sar-e-niyāz jhukānā mohabbateñ denā

    ye buz-dilī nahīñ dar-asl ḳhāksārī hai

    rah-e-jumūd se nafrat uḌaan ḳhvāhish

    haqīqatan ye zarūrat hai jāñ-nisārī hai

    ye gulsitāñ hai hamārī riyāzatoñ samar

    ise sañvārne meñ sab hisse-dārī hai

    tajalliyon se andheron ki jang jari hai

    ujale surKH-ru hon ye du'a hamari hai

    jahan pe kal tha gulsitan wo aaj maqtal hai

    falak KHamosh hai phir dekhen kis ki bari hai

    sar-e-niyaz jhukana mohabbaten dena

    ye buz-dili nahin dar-asl KHaksari hai

    rah-e-jumud se nafrat uDan ki KHwahish

    haqiqatan ye zarurat hai jaan-nisari hai

    ye gulsitan hai hamari riyazaton ka samar

    ise sanwarne mein sab ki hisse-dari hai

    Source:

    Dar Haqeeqat (Pg. 21)

    • Author: Azhar Shams
      • Edition: 2015
      • Publisher: Rujhaan Publications, Allahabad
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now