Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tajdid-e-mulaqat ki hasrat nahin hoti

Safdar Saleem Sial

tajdid-e-mulaqat ki hasrat nahin hoti

Safdar Saleem Sial

MORE BYSafdar Saleem Sial

    tajdīd-e-mulāqāt hasrat nahīñ hotī

    milte haiñ magar pahlī chāhat nahīñ hotī

    ham us har ik chaal samajh jaate haiñ pahle

    ab us kisī chaal pe hairat nahīñ hotī

    nā-qābil-e-taslīm hai ab us chalan bhī

    mushkil hai ki us shaḳhs se nafrat nahīñ hotī

    sochā hai ka.ī baar kareñ us shikāyat

    karte haiñ shikāyat to shikāyat nahīñ hotī

    ma.amūl lagtā hai hameñ hijr mausam

    ab us se bichhaḌte hue vahshat nahīñ hotī

    jin bachchoñ ko māñ-bāp mohabbat nahīñ dete

    un bachchoñ se māñ-bāp ḳhidmat nahīñ hotī

    vo mujh ko Darātā hai judā.ī sazā se

    ḳhud us ko judā.ī jasārat nahīñ hotī

    ham DhūñDte rahte haiñ laḌā.ī ke bahāne

    lekin kabhī laḌne bhī himmat nahīñ hotī

    ik hifz-e-marāsim rivāyat thī ga.ī vo

    ab tark-e-ta.alluq pe aziyyat nahīñ hotī

    ham us ko bhulāne ke jatan kar to chuke haiñ

    is tarah magar ḳhatm mohabbat nahīñ hotī

    vo tum se ḳhafā hai to use ḳhud manāo

    apnoñ ko manāne meñ qabāhat nahīñ hotī

    ab tere tahā.if ko sañbhālā nahīñ jaatā

    ham se tirī yādoñ hifāzat nahīñ hotī

    jo mahr anā-gīr thī vo kaT bhī chukī hai

    ab pichhle pahar tark-e-rifāqat nahīñ hotī

    ik pal bhī tire shahr meñ rahnā huā mushkil

    mushkil hai ki ab naql-e-sukūnat nahīñ hotī

    ham koste rahte haiñ 'salīm' ahl-e-havas ko

    kyoñ ham se ḳhilāf un ke baġhāvat nahīñ hotī

    tajdid-e-mulaqat ki hasrat nahin hoti

    milte hain magar pahli si chahat nahin hoti

    hum us ki har ek chaal samajh jate hain pahle

    ab us ki kisi chaal pe hairat nahin hoti

    na-qabil-e-taslim hai ab us ka chalan bhi

    mushkil hai ki us shaKHs se nafrat nahin hoti

    socha hai kai bar karen us ki shikayat

    karte hain shikayat to shikayat nahin hoti

    mamul sa lagta hai hamein hijr ka mausam

    ab us se bichhaDte hue wahshat nahin hoti

    jin bachchon ko man-bap mohabbat nahin dete

    un bachchon se man-bap ki KHidmat nahin hoti

    wo mujh ko Daraata hai judai ki saza se

    KHud us ko judai ki jasarat nahin hoti

    hum DhunDte rahte hain laDai ke bahane

    lekin kabhi laDne ki bhi himmat nahin hoti

    ek hifz-e-marasim ki riwayat thi gai wo

    ab tark-e-talluq pe aziyyat nahin hoti

    hum us ko bhulane ke jatan kar to chuke hain

    is tarah magar KHatm mohabbat nahin hoti

    wo tum se KHafa hai to use KHud hi manao

    apnon ko manane mein qabahat nahin hoti

    ab tere tahaif ko sanbhaala nahin jata

    hum se teri yaadon ki hifazat nahin hoti

    jo mahr ana-gir thi wo kaT bhi chuki hai

    ab pichhle pahar tark-e-rifaqat nahin hoti

    ek pal bhi tere shahr mein rahna hua mushkil

    mushkil hai ki ab naql-e-sukunat nahin hoti

    hum koste rahte hain 'salim' ahl-e-hawas ko

    kyon hum se KHilaf un ke baghawat nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now