taKHt-e-dil pe jo hukmrani hai
taḳht-e-dil pe jo hukmrānī hai
surḳh-rū hone kī nishānī hai
baap ke dil pe ik girānī hai
ghar meñ beTī jo ik siyānī hai
pyāse hoñToñ pe aab rakhne kī
apnī 'ādat baḌī purānī hai
apne hone kī de rahā hai sanad
ye jo dariyāoñ meñ ravānī hai
ye faqīroñ kī bastiyāñ haiñ yahāñ
haq-bayānī hī haq-bayānī hai
us meñ ādāb-e-nafsiyātī haiñ
vo koī shaḳhs ḳhāndānī hai
is pe bandoñ kā bas nahīñ chaltā
ye balā koī āsmānī hai
maiñ ne likkhī thī zindagī apnī
sab samajhte haiñ ye kahānī hai
ham to qaa.il haiñ ruuh ke 'rānā'
jism kuchh bhī nahīñ ye faanī hai
taKHt-e-dil pe jo hukmrani hai
surKH-ru hone ki nishani hai
bap ke dil pe ek girani hai
ghar mein beTi jo ek siyani hai
pyase honTon pe aab rakhne ki
apni 'adat baDi purani hai
apne hone ki de raha hai sanad
ye jo dariyaon mein rawani hai
ye faqiron ki bastiyan hain yahan
haq-bayani hi haq-bayani hai
us mein aadab-e-nafsiyati hain
wo koi shaKHs KHandani hai
is pe bandon ka bas nahin chalta
ye bala koi aasmani hai
main ne likkhi thi zindagi apni
sab samajhte hain ye kahani hai
hum to qail hain ruh ke 'rana'
jism kuchh bhi nahin ye fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.