Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath

Rahbar Jaunpuri

taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath

Rahbar Jaunpuri

MORE BYRahbar Jaunpuri

    taḳht-nashīnoñ kyā rishta tahzīb-o-ādāb ke saath

    ye jab chāheñ jañg karā deñ rustam sohrāb ke saath

    zulm-o-tashaddud ke shaidā.ī shāyad tujh ko ilm nahīñ

    tere bhī sapne TūTeñge mere har ik ḳhvāb ke saath

    kañkar patthar tāmīreñ maz.hab mafhūm nahīñ

    zehnoñ ta.amīr bhī kiije gumbad aur mehrāb ke saath

    qātil ban kar vo bhī khaḌe haiñ aaj hamāre pesh nazar

    ham ne jin ko izzat baḳhshī ezāz-o-alqāb ke saath

    urdu ko ḳhud ḳhuun bahā kar joḌ rahe haiñ rishte log

    'ġhālib'-o-'momin' 'munshī'-o-'mullā' 'chakbast'-o-'sīmāb' ke saath

    rafta rafta Duub rahe haiñ maiḳhāne vīrānī meñ

    jab se merī pyaas rishta qaa.em hai zahrāb ke saath

    aivānoñ meñ amn-o-aḳhūvvat jo bāteñ karte haiñ

    apnā apnā dāman dekheñ kashmīr-o-panjāb ke saath

    yāroñ totā-chashmī āḳhir itnā shikva kyuuñ

    'rahbar' tum bhī kab muḳhlis the ḳhud apne ahbāb ke saath

    taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath

    ye jab chahen jang kara den rustam ki sohrab ke sath

    zulm-o-tashaddud ke shaidai shayad tujh ko ilm nahin

    tere bhi sapne TuTenge mere har ek KHwab ke sath

    kankar patthar ki tamiren mazhab ka mafhum nahin

    zehnon ki tamir bhi kije gumbad aur mehrab ke sath

    qatil ban kar wo bhi khaDe hain aaj hamare pesh nazar

    hum ne jin ko izzat baKHshi ezaz-o-alqab ke sath

    urdu ko KHud KHun baha kar joD rahe hain rishte log

    'ghaalib'-o-'momin' 'munshi'-o-'mulla' 'chakbast'-o-'simab' ke sath

    rafta rafta Dub rahe hain maiKHane virani mein

    jab se meri pyas ka rishta qaem hai zahrab ke sath

    aiwanon mein amn-o-aKHuwwat ki jo baaten karte hain

    apna apna daman dekhen kashmir-o-panjab ke sath

    yaron ki tota-chashmi ka aaKHir itna shikwa kyun

    'rahbar' tum bhi kab muKHlis the KHud apne ahbab ke sath

    Source:

    Mauj-e-Sarab (Pg. 82)

    • Author: Rehbar Jaunpuri
      • Edition: 1997
      • Publisher: Rehbar Jaunpuri
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now