taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT

taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
taḳhta-e-āb-e-chaman kyuuñ na nazar aave sapāT
yaad aave mujhe jis dam vo nigammūd kā ghaaT
zindagānī kā maza zer-e-falak ab na rahā
yā-rab aisā ho ki mil jaa.e kahīñ paaT se paaT
fann-e-kashtī meñ qayāmat hai vo but gāzir kā
dhuum detā hai machā aave hai jab dhobī paaT
jaate hī vādi-e-vahshat meñ qadam maarā maiñ
chaman-e-dahr se dil apnā huā jab ki uchāT
ḳhāk-e-dehlī meñ kyā jab se nasārā ne amal
shor-e-gūjar hī rahā aur na hañgāma-e-jāT
tark ġhamze kā magar bar-sare-e-saffākī hai
us ke kūche se chalī aatī hai jab khaaT pe khaaT
qatl-e-āshiq kā jo hotā hai irāda us ko
pahle dekhe hai ḳhar o gaav pe talvār kā kaaT
koī sīkhe bhī qanā.at ko to sag se sīkhe
paḌ rahe hai vo ba-yak gosha diyā raat ko chaaT
roz hañgāma hai is gumbad-e-nīlī ke ta.iiñ
'mus.hafī' shak nahīñ bigḌā hai magar niil kā maaT
taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT
yaad aawe mujhe jis dam wo nigammud ka ghaT
zindagani ka maza zer-e-falak ab na raha
ya-rab aisa ho ki mil jae kahin paT se paT
fann-e-kashti mein qayamat hai wo but gazir ka
dhum deta hai macha aawe hai jab dhobi paT
jate hi wadi-e-wahshat mein qadam mara main
chaman-e-dahr se dil apna hua jab ki uchaT
KHak-e-dehli mein kya jab se nasara ne amal
shor-e-gujar hi raha aur na hangama-e-jaT
tark ghamze ka magar bar-sare-e-saffaki hai
us ke kuche se chali aati hai jab khaT pe khaT
qatl-e-ashiq ka jo hota hai irada us ko
pahle dekhe hai KHar o gaw pe talwar ka kaT
koi sikhe bhi qanaat ko to sag se sikhe
paD rahe hai wo ba-yak gosha diya raat ko chaT
roz hangama hai is gumbad-e-nili ke tain
'mushafi' shak nahin bigDa hai magar nil ka maT
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.