Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

takmil

Aleena Itrat

takmil

Aleena Itrat

MORE BYAleena Itrat

    kahīñ pe duur kisī ajnabī ghāTī meñ

    kisī ek hasīñ shāhkār ho jaise

    musavvirī ik umda misāl lagtī thī

    koī inā.yat-e-parvar-digār ho jaise

    banāne vaale ne us ko banā ke chhoḌā thā

    aur us ke chehre pe ik naam likh ke chhoḌā thā

    na zabāñ na koī ā.īna diyā us ko

    banā ke but yuuñ zamīñ par sajā diyā us ko

    use zamāne bātoñ se kuchh gila na thā

    sivā.e jism ke ehsās kuchh milā na thā

    phir ek roz kisī narm narm jhoñke ne

    kahā ye kaan meñ aa kar bahut chupke se

    zarā āñkhoñ ko kholo to tum ko dikhlā.ūñ

    mahaktī zindagī kaise hai tum ko sikhlā.ūñ

    kahāñ se aa.ī ho kab se yahāñ khaḌī ho tum

    mire vajūd ke har rañg se juḌī ho tum

    ye gungunātī huī vādiyāñ ye gul-kārī

    nadī jhūmtī gaatī huī ye kilkārī

    ye dhuup chhāñv ke bādal ye maḳhmalī ehsās

    machal rahe haiñ bahut pyaar se tumhāre paas

    mahakte dil haiñ yahāñ ḳhushbu-e-mohabbat se

    ḳhudā ke nuur se paidā huī harārat se

    havā jhoñkā jo kānoñ meñ us ke bol gayā

    to us ne chauñk ke palkoñ ko apnī khol diyā

    ye vādiyoñ hasīñ rañg us ne jab dekhā

    huī ye soch ke hairān us ne ab dekhā

    badan meñ jitne the ehsās vo machalne lage

    nazāre us nigāhoñ ke saath chalne lage

    ye rañg o nuur ke qisse samajh meñ aane lage

    hasīn āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb jhilmilāne lage

    aur aise ho ke mukammal vo husn mūrat

    kisī ke pyaar ḳhushbū se ban ga.ī aurat

    kahin pe dur kisi ajnabi si ghaTi mein

    kisi ka ek hasin shahkar ho jaise

    musawwiri ki ek umda misal lagti thi

    koi inayat-e-parwar-digar ho jaise

    banane wale ne us ko bana ke chhoDa tha

    aur us ke chehre pe ek nam likh ke chhoDa tha

    na di zaban na koi aaina diya us ko

    bana ke but yun zamin par saja diya us ko

    use zamane ki baaton se kuchh gila hi na tha

    siwae jism ke ehsas kuchh mila hi na tha

    phir ek roz kisi narm narm jhonke ne

    kaha ye kan mein aa kar bahut hi chupke se

    zara sa aankhon ko kholo to tum ko dikhlaun

    mahakti zindagi kaise hai tum ko sikhlaun

    kahan se aai ho kab se yahan khaDi ho tum

    mere wajud ke har rang se juDi ho tum

    ye gungunati hui wadiyan ye gul-kari

    nadi ki jhumti gati hui ye kilkari

    ye dhup chhanw ke baadal ye maKHmali ehsas

    machal rahe hain bahut pyar se tumhaare pas

    mahakte dil hain yahan KHushbu-e-mohabbat se

    KHuda ke nur se paida hui hararat se

    hawa ka jhonka jo kanon mein us ke bol gaya

    to us ne chaunk ke palkon ko apni khol diya

    ye wadiyon ka hasin rang us ne jab dekha

    hui ye soch ke hairan us ne ab dekha

    badan mein jitne the ehsas wo machalne lage

    nazare us ki nigahon ke sath chalne lage

    ye rang o nur ke qisse samajh mein aane lage

    hasin aankhon mein kuchh KHwab jhilmilane lage

    aur aise ho ke mukammal wo husn ki murat

    kisi ke pyar ki KHushbu se ban gai aurat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now