Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash-e-kaun-o-makan hai na la-makan ki talash

Masood Akhtar Jamal

talash-e-kaun-o-makan hai na la-makan ki talash

Masood Akhtar Jamal

MORE BYMasood Akhtar Jamal

    talāsh-e-kaun-o-makāñ hai na lā-makāñ talāsh

    ye zindagī hai ġham-e-ishq-e-jāvedāñ talāsh

    isī zamīñ ko hameñ āsmāñ banānā hai

    hameñ nahīñ hai kisī aur āsmāñ talāsh

    kisī ko manzil-e-ishrat ġham hai aur mujhe

    huī hai manzil-e-ishrat pe kārvāñ talāsh

    ye ḳhvāb hai ki hai tābīr-e-ḳhvāb ai ġham-e-dil

    har ik qadam hai yahāñ umr-e-rā.egāñ talāsh

    bahār-e-lāla-o-gul barq-e-be-amāñ niklī

    kahāñ kahāñ na rahī mere āshiyāñ talāsh

    jo ho sake to mirā ġham jāvedāñ ho jaa.e

    'jamāl' mujh ko nahīñ aish-e-jāvedāñ talāsh

    talash-e-kaun-o-makan hai na la-makan ki talash

    ye zindagi hai gham-e-ishq-e-jawedan ki talash

    isi zamin ko hamein aasman banana hai

    hamein nahin hai kisi aur aasman ki talash

    kisi ko manzil-e-ishrat ka gham hai aur mujhe

    hui hai manzil-e-ishrat pe karwan ki talash

    ye KHwab hai ki hai tabir-e-KHwab ai gham-e-dil

    har ek qadam hai yahan umr-e-raegan ki talash

    bahaar-e-lala-o-gul barq-e-be-aman nikli

    kahan kahan na rahi mere aashiyan ki talash

    jo ho sake to mera gham hi jawedan ho jae

    'jamal' mujh ko nahin aish-e-jawedan ki talash

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 295)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now