Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar

Shah Naseer

talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    talab meñ bose kyā hai hujjat savāl dīgar javāb dīgar

    samajh ke kah baat be-muravvat savāl dīgar javāb dīgar

    kalām tujh se hai aur apnā suḳhan ko ham tere kyūñki jāneñ

    zarā ye khultī nahīñ haqīqat savāl dīgar javāb dīgar

    maiñ apne matlab kah rahā huuñ vo ā.ina-rū ik aib meñ hai

    bhalā ho milne ḳhaak sūrat savāl dīgar javāb dīgar

    agar kahūñ maiñ sañvāro zulfeñ to vo bigaḌte haiñ de ke gaalī

    ajab nasīboñ kuchh hai shāmat savāl dīgar javāb dīgar

    mirā to paiġhām vasl hai tumhārī taqrīr hijr hai

    butāñ hai ye bhī ḳhudā qudrat savāl dīgar javāb dīgar

    kahā jo maiñ ne ki do mirā dil to bole hañs kar kidhar hai dilī

    kahūñ to kyā aur un ko rahmat savāl dīgar javāb dīgar

    talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar

    samajh ke kah baat be-murawwat sawal digar jawab digar

    kalam tujh se hai aur apna suKHan ko hum tere kyunki jaanen

    zara ye khulti nahin haqiqat sawal digar jawab digar

    main apne matlab ki kah raha hun wo aaina-ru ek aib mein hai

    bhala ho milne ki KHak surat sawal digar jawab digar

    agar kahun main sanwaro zulfen to wo bigaDte hain de ke gali

    ajab nasibon ki kuchh hai shamat sawal digar jawab digar

    mera to paigham wasl ka hai tumhaari taqrir hijr ki hai

    butan hai ye bhi KHuda ki qudrat sawal digar jawab digar

    kaha jo main ne ki do mera dil to bole hans kar kidhar hai dili

    kahun to kya aur un ko rahmat sawal digar jawab digar

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir áPart IIâ(rekhta website) (Pg. 25)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1977
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore, Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now