Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talab se bhi kuchh aur ziyaada mila

Muneer Saifi

talab se bhi kuchh aur ziyaada mila

Muneer Saifi

MORE BYMuneer Saifi

    talab se bhī kuchh aur ziyāda milā

    badan par ġhamoñ labāda milā

    mujhe har jagah sarfarāzī milī

    ki ġham mujhe shāhzāda milā

    bahut sādgī us ke bachpan meñ thī

    javānī qissa bhī saada milā

    ki be-sāz-o-sāmān thā is liye

    mujhe har safar be-irāda milā

    zamīñ par sau āsmāñ oḌh le

    makāñ tujh ko kitnā kushāda milā

    rag-e-sañg jab bhī nichoḌī ga.ī

    guloñ lahū taaza taaza milā

    hañsī ko taraste hue lab mile

    har ik shakl par ġham ġhāza milā

    talab se bhi kuchh aur ziyaada mila

    badan par ghamon ka labaada mila

    mujhe har jagah sarfaraazi mili

    ki gham ka mujhe shahzada mila

    bahut sadgi us ke bachpan mein thi

    jawani ka qissa bhi sada mila

    ki be-saz-o-saman tha is liye

    mujhe har safar be-irada mila

    zamin par tu sau aasman oDh le

    makan tujh ko kitna kushada mila

    rag-e-sang jab bhi nichoDi gai

    gulon ka lahu taza taza mila

    hansi ko taraste hue lab mile

    har ek shakl par gham ka ghaza mila

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 778)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now