Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talKH lahja jis ki fitrat hai usi nari ka bojh

Tahir Saood Kiratpuri

talKH lahja jis ki fitrat hai usi nari ka bojh

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    talḳh lahja jis fitrat hai usī naarī bojh

    maiñ uThā.e phir rahā huuñ ziist bechārī bojh

    kaTghare meñ adl ḳhātir khaḌā hai be-qusūr

    Dho rahā hai ek bebas kab se lāchārī bojh

    is liye pal bhar ko maiñ sotā nahīñ ārām se

    le ke sotā huuñ hamesha sar pe bedārī bojh

    zindagī kaise guzārūñ maiñ to ik mazdūr huuñ

    ik taraf beTī shādī us pe bīmārī bojh

    us ko āñkhoñ ne nahīñ dekhā to yuuñ lagtā rahā

    jaise āñkhoñ ke saroñ par ho jafā-kārī bojh

    aur mat rakkho mire kāñdhoñ pe zimmedāriyāñ

    pahle kuchh kam nahīñ hai roTī tarkārī bojh

    tajarbe ke saath kījiye misra-e-sānī qubūl

    sab se bhārī hai to hai duniyā meñ ḳhuddārī bojh

    bār-e-fan Dhone tāqat de vagarna ai karīm

    nā-tavāñ kaise uThā saktā hai fankārī bojh

    bādshāh-e-vaqt haiñ be-fikr aur tāhir-'sa.ūd'

    naujavāñ dil par liye phirte haiñ bekārī bojh

    talKH lahja jis ki fitrat hai usi nari ka bojh

    main uThae phir raha hun zist bechaari ka bojh

    kaTghare mein adl ki KHatir khaDa hai be-qusur

    Dho raha hai ek bebas kab se lachaari ka bojh

    is liye pal bhar ko main sota nahin aaram se

    le ke sota hun hamesha sar pe bedari ka bojh

    zindagi kaise guzarun main to ek mazdur hun

    ek taraf beTi ki shadi us pe bimari ka bojh

    us ko aankhon ne nahin dekha to yun lagta raha

    jaise aankhon ke saron par ho jafa-kari ka bojh

    aur mat rakkho mere kandhon pe zimmedariyan

    pahle hi kuchh kam nahin hai roTi tarkari ka bojh

    tajarbe ke sath kijiye misra-e-sani qubul

    sab se bhaari hai to hai duniya mein KHuddari ka bojh

    bar-e-fan Dhone ki taqat de wagarna ai karim

    na-tawan kaise uTha sakta hai fankari ka bojh

    baadshah-e-waqt hain be-fikr aur tahir-'saud'

    naujawan dil par liye phirte hain bekari ka bojh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now