Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talKHi-e-ayyam rahn-e-jam ki

Pandit Vidya Rattan Asi

talKHi-e-ayyam rahn-e-jam ki

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    talḳhī-e-ayyām rahn-e-jām

    bāda-ḳhāne meñ basar har shaam

    bazm meñ saaqī chashm-e-mast ne

    sharm rakh ek tishna-kām

    kaash sun lete vo merī dāstāñ

    baat rah jaatī dil-e-nākām

    miT na paa.ī zindagī talḳhiyāñ

    bāda-noshī ham ne go har shaam

    ham kahāñ the is qadar be-rañg-o-nām

    dosto gardish hai sub.h-o-shām

    baada ḳhvāroñ ne na chalne koī

    mai-kade meñ gardish-e-ayyām

    is nigāh-e-muḳhtasar shukriya

    baat ban aa.ī dil-e-nākām

    āsī-e-kam-zarf ne hangām meñ

    anjuman anjuman badnām

    talKHi-e-ayyam rahn-e-jam ki

    baada-KHane mein basar har sham ki

    bazm mein saqi ki chashm-e-mast ne

    sharm rakh li ek tishna-kaam ki

    kash sun lete wo meri dastan

    baat rah jati dil-e-nakaam ki

    miT na pai zindagi ki talKHiyan

    baada-noshi hum ne go har sham ki

    hum kahan the is qadar be-rang-o-nam

    dosto gardish hai subh-o-sham ki

    baada KHwaron ne na chalne di koi

    mai-kade mein gardish-e-ayyam ki

    is nigah-e-muKHtasar ka shukriya

    baat ban aai dil-e-nakaam ki

    aasi-e-kam-zarf ne hangam mein

    anjuman ki anjuman badnam ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now